BANANE KAY AJZA
Mutton 1kg
Namak 1.5 khanay ka chamach
Cooking Oil 1/3 cup
Chawal ½ kg
Lehsan 1.5 khanay ka chamach
Adrak 1.5 khanay ka chamach
Piyaz 4 adad
Dahi 3 cup
Pisi laal mirch 3 khanay k chamach
Garm masala 2 khanay k chamach
Timatar 1 adad
Lemon 2 adad
Zeera 1.5 khanay ka chamach
Dhaniya 1.5 khanay ka chamach
Kewrah ¼ cup
Aalo 3 adad
Peela rang 1/3 chaye ka chamach
BANANE KI TARKEEB
Garm tail main piyaz, adrak aur lehsan fry kar lain.
Ab is main mutton, laal mirch aur haldi shamil kar k taiz aanch per 10 minute k liye fry karain.
Is k baad 2 litter pani aur namak daal kar halki anch per itni dair pakain k gosht achi tarah gal jaye.
Phir is main zeera, dhaniya aur dahi shamil kar k taiz aanch per pakain, itna k paani khuskh hojaye.
Aalo ko alag sy thora ubaal lain aur zarday ka rang shamil kar k qormay main daal dain.
Pisa garm masala, timatar, lemon aur kewrah daal kar cholah band kar dain.
Bheegy chawalo ko namak milay ublay paani main ubaalain aur nathar kar chawal qormay main shamil karain.
Oper sy zarday ka rang daal kar taiz aanch per rakhain.
Bhaap bannay per halki anch per 15 minute k liye dam per chhor dain.
Taiyar honay per garm garm serve karain.

By Zeeshan Juni
No comments:
Post a Comment